Naino ki ye jyoti tera naam pukare
Naina na barse, tarse din raiin
Naina bas chaahe naino ka hi chaen
Naino ki hi bechaini, naino ki vaani
Naina sunate naino ki kahaani
Kabhi nainon ko bhasha samjhe nahi naina
Bin soye kabhi, naino ne bitai raina
Naina kabhi kaajal se kaale
Naino me thakaan aur jaale
Kabhi Nainon me nami
Kisi ko paane ki kami
Naino se hota pyaar,
Nainon se hote vaar
Sach ki hai pehchan naina
Jhuth ko chhupate Uchatte naina...
No comments:
Post a Comment