Uske pairon ki paajeb ki bheemi bheemi awaaz
bajne lagenge ishwarya sukh ke saaz
mere kaano main bas sunai padne wali hai
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai

Mulayam charon se chalke
sukh karen palke
jeewan main asankhya sukh bharne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
sukh karen palke
jeewan main asankhya sukh bharne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Uske nirmal komal kar meri kismat se milke
khushiyon ki lakshmi uske aanchal se chhalke
meri lakeeron se milkar mera bhagya badalne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
khushiyon ki lakshmi uske aanchal se chhalke
meri lakeeron se milkar mera bhagya badalne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Uski kamar par tagdi sajaye,
hirni si ithlati natkhat si chalti aaye
apni chaal se meri dhaal banne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
hirni si ithlati natkhat si chalti aaye
apni chaal se meri dhaal banne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Dil se mera acha sochti hai
Mere bure ko apne haathon se dabochti hai
Apne kaanon se mera acha sunti
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Mere bure ko apne haathon se dabochti hai
Apne kaanon se mera acha sunti
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Uske andar koi mail nahi,
uske andar bhi chah, ud chalen kahin
mujhe dil me rakhkar
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
uske andar bhi chah, ud chalen kahin
mujhe dil me rakhkar
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Uska tulsi sa pavitra aur paavan swabhav
uske aage saral hota mera har bhaav
Jeewan ki har dhoop door karne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
uske aage saral hota mera har bhaav
Jeewan ki har dhoop door karne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Uski muskaan meri sanjivani, meri prerna
uske aane se har dukh to taredna
Meri har haar ko jeet me badalne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
uske aane se har dukh to taredna
Meri har haar ko jeet me badalne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
Mere agyan ko saraswati ban gyan-prakash dene
mere tutna chahne par jod dene
Har zakhm pe marham rakhne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
mere tutna chahne par jod dene
Har zakhm pe marham rakhne
wo aa rahi hai, zindagi ab sajne waali hai
No comments:
Post a Comment