Friday, 31 January 2014

milte nahi

वो क़रीब  इतने हैं  इस  दिल के
कि  बिछड़ते  ही  नहीं , बिछड़  कर
छूकर भी दिल को, छूना  नहीं चाहते
दुआ करते हैं हम, पर उन्हें करीब नहीं पाते

कभी याद में  मिलते हैं, तो कभी सपनो में
आँखों के झपकने में, तो कभी अपनों में
साया बन कर , साथ हैं निभाते
दुआ करते हैं हम, पर उन्हें करीब नहीं पाते

किसी हंसी में हैं ग़ुम , मन कहीं गुमसुम
दिल पुकारता  है फिर भी मिलते नहीं तुम
घर बनाकर मन में , रहने नहीं आते
दुआ करते हैं हम, पर उन्हें करीब नहीं पाते 

Thursday, 30 January 2014

har dil ab bas ujaale ko tarasta hai...

Dhund si chhai is aine par, pochun kaise?kahin khoyi hai parchhai, roothkar jaisezindagi dum todkar bhi, roz hi hasti haiinsaan ki keemat, bahut hi sasti hai naqabon main chhupe, jaane kitne chehrewaqt milte hi, dete hain ghum gehredil jeetkar, kaleje par hi karte vaardil to hai gustakh, khud se hi lachaar 
kabhi achanak, anchal rab kheench hai leta,chheen kar kabhi kisi ko, nasoor hai deta,kabhi koi shraap, koi jhutha ilzaamwafa, saath, sewa ke itne meethe inaam mujhse, meri jad ko alag hai karta,kabhi sukh ka wo sansaar bikharta,pyaar ki wo alhad, mast kahaani,akhir main ban jaati hai badzubaani apne paas hokar bhi badal se hain jaate,har dil ko yahan kitne dard hai sataate,har ankh main hai paani, kahin ghum ashru ki dhaarakoi raja, to koi rank ban jaata hai bechara paristhi bhi rukh yun hai mod letiki quabiliyat aur kismat bhi saath nahi detishaq ka kaala megh, timir sang barasta haihar dil ab bas ujaale ko tarasta hai...

Tuesday, 21 January 2014

Badlaav

Kabhi samay yun badal jata hai,
Ki har apna dur ho jata hai,
Apne bhi hokar reh jaate hain paraaye,
Roz rehte hain hriday main kitne gham samaye
Badlaav ki kaisi chali ye lehar,
Phaila jaise rag rag main kala gehra zehar,
Na badalna chahe mann, na sweekare mann
Pal pal bojhil sa hota ye jeewan

Paribhashit nahi hota ashru ka behna,
Pratipal badta hai dard sehna,
Saathi ab anjaan begaane,
Kal tak the sab jaane pehchaane
Koi na laa paaye phirse wo kal,
Kaise bhoolen beete hue pal?
Khudko aage padega chalana,
Beet gaya wo purana zamana

Ab apna ban khudko hi samjhana
Band hoga tabhi rona-rulana
Kal ka dehan karke, jalana hai beeta kal
Nirmit karna hoga ek naya kal
Tabhi peeda hogi kam,
Shayad fir nahi hoga hridya nam
Chal padna hai ek nayi dagar
Peechhe mudna nahi hai magar…

Kyun chala gaya tu chhod kar: A tribute to Piyush Kishan

This January, the most unhappy news touched these ears. My college memories were refreshed and washed with tears of loosing a brother Piyush Kishan. Expired in a train accident, Piyush was a person full of life, happy, spreading fragrance of laughter everywhere he went. I wrote this poem when he expired but I am publishing it today after being able to gain control over emotions. Piyush this is my tribute to you and our friendship...

Yun tod gaya tu ye dhaage dosti, pariwar, pyaar ke
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

yaad aata hai tera mazaak banana
kehna aaj phir bhul gya nahana
wo teri pyaari muskaan
jis main baste the doston ke praan
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Hum doston ne saath dekhi thi dostana
Tune hi sikhaya dosti ko nibhana
Flat pe mere wo cricket ke match
Kyu de diye bhai dil pe itne scratch?
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Mimickry karke sabko hasana
Aur apni poem hum subko sunana
Meri har kativa pe taali bajana
Aur har bar milne par koi naya gaana
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Golgappe khae hum doston ne saath milkar
Kisi se banwate the maggi kitchen main chalkar
Ghar le jaata to gajar ka halwa
Kehta tha ye paisa to hai malwa
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Yaadon main teri behta hai neer
Koi na samjhe is hriyday ki peer
Zindagi ki ye kaisi lakeer
Aaj tere bina dosti ka ban gaya main fakeer
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Mere har bakwas mazaak pe khulke hasta
College jaane ka wo anokha hi rasta
Wo bahar ka khana
Aur mera exam se pehle padhana
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke

Wapis aaja piyush,  Maa ki ankhen hain nam
Tere bina na hogi, Pita ki peeda kabhi kam
Bhai ke dil ka mitade na gham
Firse zindagi ki shuruwat karenge hum
Kyun chala gaya tu sabko thokar maar ke..?

Ek Agnipareeksha

This poem is a dedication to two true lovers, who got separated due to the ever-going circle of life and death..my college friend  Lt. Piyush Kishan and his love Tripti...their love will never die...She's still alive waiting for him to return..."

Sita sa bhagya likha kyun ishwar
Abhi to jeewan jiya nahi pal bhar
Meera si ban ab usko jeena
Zeher ka pyaala kyun pada peena

Kaise jiyegi wo bin sahare
Dur  hain sab sagar ke kinare
Mehndi bas haathon main lagi thi rachne
Dhol nagade bas ab the bajne

Kyun chirag aisa bujhaya
Uske jeewan main andhera bulaya
Muskurati thi phoolon ke jaise
Samajhna chahun usko, par samjhun kaise

Ye ishwar, uski zindagi main do ujala
Mita do agar koi rang ho kala
Rangeen kardo uska sansaar
Suno he ishwar meri karun pukaar…

Shayad ab ki baar teri, ban jaayegi baat..

his one is dedicated to a woman I know who failed to achieve her love. She cried and begged for it but she recieved frivolous rebukes. Misfortune and agony defined her. Now trying to give her some peace and hope, I pray she makes a fresh attempt.

Tulsi banke wo ghoome, dhund na paaye meet,
ye bhagwan, darr darr bhatke, chahe na paye preet...
besur pal, dhadkan hai ghum, ruk gaya jaise geet,
pyaas adhuri, badhti gayi, ban gayi jaise reet...

uski lagan, uski tadap, koi na jaan paaye,
toote dil ke kaanch lie bas, aage badhti jaaye...
kya khoya jo paana tha, patthar pooje jaaye,
bikhri bikhri zulf teri, haalat kya hai haaye..

shuunya se astitva hai, karle nayi shuruwaat,
kismat ki dhani nahi, khayi tune laat...
khoyi mansha, khoyi ummeed, peeda bhare the ghaat,
shayad ab ki baar teri, ban jaayegi baat..-2

Main aur meri manzil

Yun andekhi, anjaani si, sundar si, begaani si
anjaan hun main ab bhi usse, phir bhi jaani pehchaani si,
kuchh khaas hai usme, jo mujhe bulaati hai roz paas,
usko pana hai ab bas, baaki sab lage bakwaas

Wo pavitra, puraani, paavan, pyaari,
Wo dur hai jitna, paas zimmedaari,
prerna ban mujhko roz roz hai chalati,
desh videsh sab or hai mujhe ghumaati,

Kabhi teerth ban, kabhi seva ban, sheetal karti man,
to kabhi ban jaati, asankha, umulya dhan,
kabhi saundarya to kabhi muskaan,
kabhi bas ek meethi si udaan

kabhi zubaan par avismarniya swaad,
to kabhi bade sammaneeyon ka ashirwaad,
ghum hota andhere main dukh aur atyachaar,
badhta, phalta, mehekta, sukhi parivaar

kabhi sehat ka hai wo vardaan,
to kabhi parivaar ki badhti shaan,
kabhi vaibhav-dhanlakshmi ka vikaas,
to kabhi ishwar main bandhta, badhta vishwaas

kabhi hai meera ki saadhna,
to kabhi antarman ki upaasna,
kabhi sparsh koi aatmik,
to kabhi jeewan atyadhik saatwik...

Main aur meri manzil.....

Nadaan parinde

Nadaan parinde, wo nahi tera ghar,
Ghonsle se dur yun pal pal na mar,
Ab to sach ko sweekaar kar,
Sach ke saamne se kis baat ka darr?

Sab tere apne hai tere hi sahaare,
Kahan payenge wo sab kinaare?
Maajhi bin raahi reh rahe bechare,
Tujhe dukh dene walon ko kaun, kaise mare?
Nadaan parinde, wo nahi tera ghar,
Ghonsle se dur yun pal pal na mar

Chhut chukka ek haath to unse,
Duja bas ab bandha hai tumse,
Kya ummeed kare ab kis se,
Tuti har aas, banai thi jiinse.
Nadaan parinde, wo nahi tera ghar,
Ghonsle se dur yun pal pal na mar

aatma ka sulaghna..

Un muskaanon main rona sunai deta hai
har lamhe main prabhu tu kya kya leta hai?
gale ke lagne par dard mehsus hota hai
har aadmi jahan main khud ko kyun khota hai?

labon main nami ansuon se bani hai
ghamand se kyun har bhrikuti tani hai?
kano ko bas khushi sunai deti hai
pal pal zindagi itne imthaan kyun leti hai?

dil ko cheetkar, tadap mehsus hoti hai
har kisi ki kyun hasti khoti hai?
pathar se zyada shabdon ki chot dil ko lagti hai
aatma kyun har roz jhuth ki aag main sulaghti hai?

Dukh

Ghamon se hi kyun likhi jaa rahi hai meri ye kahaani..
kyun dil ko sata rahi hai koi na koi pareshani

ankhon ka sagar sukhta kyun nahi...
sukh usme kahin dubta kyun nahi

kho chuki kyun hai meri wo muskaan,
kab bharunga main ek unchi udaan

nahi sahi jaati manzil se ye doorie
bata na khuda kya hai teri majboori

kaisa aalam hai kaisi hai ye tanhayee
khushiyon ne kyun ki hai bewafai

kahan hai wo muskan wo khushi wo hansi,
kahan atak kar khilkhilahat hai fansi

pal pal khud se uthta vishwaas
bujh rahi hai jeene ki pyaas

cheel kauwwon sa har pal cheer raha mera maans
kab akhir band hogi ye meri saans

 koi nahi is jahaan main mera na koi dagar hai
shareer main baaki saansen magar hain

is sab pe bhi ek ummeed ki lehar hai
shayad baaki mujhpar koi mehar hai

Ishq ka iqraar

Yun nazdeekiyon ko tu ab badh jaane de
mujhe ab to kareeb aane de
tu chhupi hai jahan ke kisi parde ke peeche
bahut saal beet gaye, tumhe akhiyan meeche

aaj kholo nainon ko, khushiyon ko basana hai
jo ab tak humne paya nahi, sath milkar paana hai
tere maathe ki har salwat ko, har sawaal ko suljhaana hai
aur bas tere dil, tere dimaag main bas apna mandir banana hai...

bekari aue bechaini ka aalam yun hai 
intzar itne saalon ka kyun hai
ki har pal teri mehek main gum hai
is basant main khoya koi kusum hai...

Fanaah

Na jaane kya khoya, kya paaya?
har din apne sath kitni ummeeden lekar aaya
umra bhar sath rehkar kuch parayon ne ye sikhaya
ki unka astitva tab tak hi hai, jab tak humara dil dukhaya
bura banakar dujon ki nazar main, apne liye arjit kar liya pyaar
sabit yunhi karte rahe ki humse har rishta hai bekaar
ab baaki hai is jahaan main kaante bepanaah
shayad samay aane wala hai jab honge wo fanaah...


samay badal raha hai, badal rahi hai maaya
badlegi bas ab apmaan ki kaaya
wahi samay dega ashru unhe, jo humare paas tha aaya
jis samay ke saath rehkar maine tha bahut dukh manaaya
ab bahegi unke naino se magarmach nahi ganga ki dhaar
ab niyati hi karegi unpar anhad atyachaar
bahut kar li maine unki parwaah
shayad samay aane wala hai jab honge wo fanaah...

Holi song 2011

thoda rang to laga de mere yaar, ki mann berang lage
thoda chandan laga de mere yaar, ki mera ang-ang khile...


holi ho bas, khushiyon se geeli
chunar teri hari, neeli, peeli
thoda khushi ko faila de mere yaar, ki mann muskura uthe
thoda chunar sambhal mere yaar,ki kahin ye rang na chute...

chehron par khilke, masti ho
yaaron ki saji hui, basti ho
thoda gulaal uda le mere yaar, ki gali berang lage
thoda tesu ghulade mere yaar, ki paani main rang ghule..

thandai main, bhang chhupi ho
peene pe bas, hosh nahi ho
thoda meetha khila de mere yaar, bhang zara zyada chadhe
thoda gale laga le mere yaar, ki thak gaye khade khade...
thoda rang to laga de mere yaar, ki mann berang lage
thoda chandan laga de mere yaar, ki mera ang-ang khile...

Tujh se itna dur chala jaunga…

Ab ki baar itna dur chala jaunga ki phir wapis na aunga
Tere ansu bhi mujhe rok na payenge main itna rooth jaunga
teri yaadon main baske reh jaunga
tere dard ko yaad banke badhaunga
Chah kar bhi main tere ansu ponchh na paunga
Tujh se itna dur chala jaunga…

Mere dard ko tune mazaak banaya
Mera dard kabhi tere dil main nahi samaya
Tune sau bar dukhaya mere dilko
Kabhi samajh na payee mujhko
Main tujhko samajhkar, samajh na paunga
Tujh se itna dur chala jaunga…

Kabhi na samajh payi tu meri baaten
Meri kismat main jaane thi kitne laaten
Meri har koshish kar di tune bemani
Tune kabhi nahi payee wo bebasi, wo pareshani
Main itna faasla beech main launga
Tujh se itna dur chala jaunga…

Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya, kaisa ye kalyug aaya..?

Jal gayi seeta, marr gayi meera
kaisa ye kalyug aaya,
Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya,
kaisa ye kalyug aaya..

Parisithiyon se haar ke roya
pal pal har koi jhuth main khoya,
vaibhav kaisa paaya?
Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya,
kaisa ye kalyug aaya..

Rogi ko dekhke, muh ko moda,
bhatke raahi ko, sabne chhoda,
svabhaav ye kaisa apnaya?
Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya,
kaisa ye kalyug aaya..

Dukhi ko dekhke, mann muskaate,
haare ko dekhke, aage badh jaate,
roothe ko kisne manaya?
Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya,
kaisa ye kalyug aaya..

Kisi ko uncha, kisi ko harijan
sab thukrate hai, apne hi parijan
kisne sabko banaya?
Ram nahi, Krishna nahi, kisi ko bhaya,
kaisa ye kalyug aaya..

Summary:
In Kalyuga, true love and dedication symblolised by Seeta and Meera for all is no more. People have forgotten the teachings of the Gods for humanity. People lose to circumstances, tell infinite lies, seek their victory in other's failures, dont serve needy, dont guide the person in need; earn wealth and praise by unfair means and reject other fellow beings on the basis of caste. Such disrespect for God's teachings and still we have courage to go to temples and face them saying mere sorry?

Tu Muskura

Tu muskura, neela aasmaan aanchal sa ban jaaye,
Suraj ki ye laalima sindoor si saj jaaye,
Badalon ki chanchalta teri zulfon si udd jaaye
Panchhiyon ki udaanen, jaise sapno ko sajayen

Tu muskura, suraj ki kiranen tujhse badhti jaaye,
Teri khushi ki garmi, pattiyon ka ahaar ban jaaye
Duniya ko chala tu apni, sawri, sajti jaaye
Subah se lekar shaam sehar tak sapne rang bhar paayen
Tu muskura, koyal si vaani banti jaaye,
Chehre ki chamak jaise phoolon ko chhu jaaye,
Har roz khushi ki dagar par aage badhta jaaye
Bhavre bhi laalach kar, tujhpe lapakne aayen

Tu muskura, chhajje ki raunaq teri muskaan banaye,
Tere khilkhilaane se nadiyaan kal kar beh jaayen
Teri ankhon ki chamak dilon main basti jaaye,
Sundarta ki paribhasha, ek din tujhse likhi jaaye!

Samay

Samay na jaane kitne aansu de jaata hai
kabhi hansi to kabhi dard ka daata hai
kabhi dusre ka gham ise lubhataata hai
to kabhi ye seene main irsha ki suiyaan chubhata hai

sulaghti hai ichha koi kabhi
banke behti hai ankhon se nadi tabhi
deta hai dhundhli khwahish koi
khilti kali murjhane se pehle roi

kabhi shor main bhi sannata lagta hai
to kabhi sannaate main shor jhalakta hai
kabhi koi geet jo mithaas pahunchata hai
wahi is dil ko bahut rulata hai

kabhi kuch dekar dhani banata hai
to kabhi chheen kar gaali sunata hai
kabhi hai shaq to kabhi ilzaam
samay main gade hain na jaane kitne naam

kabhi sikhata hai sachhi muskaan
to kabhi nasht karta hai unchi udaan
kabhi bikharta, kabhi sawarta aashiyaan
kabhi zindagiyon ko bana deta baaziyan...

Der-Andher

Gar Arjun hun, to teji se saadhun roz nishana,
Machhli band kar leti nayanan ko, deke koi bahana..
Der-andher na jaanu ishwar, roz prayaas karvao,
Meri nayya beech bhanwar main, ab to paar karao...

Nain mere ab dukhan laage, ashru-neer bahaun
tanik nazar ghumao tum jo, main ab tumko paun
duje ki jalti kutiya se na kabhi ki hai glaani,
jo shaastra kahe the tumne, bas wahi varta maani

sone, heere, panne ke kangan jab khankaaye duniya saari
maine har mansha,abhilasha, har aas mann se utari
kyun nayanan main neer bharo tum, kyun pal-pal chita jalao?
mujhko itni shakti dedo, har sankat dur bhagao..

Tirthankar bankar jo tumne kitne sankat the jhele,
ab jeewan main aaye ishwar, dukh ke kaise mele?
Vriddhi ki paawan wo seedhi har roz ho dikhaate,
paas bulakar dur bhagate, kyun ho itna satate?

Meri Kya khata

Ae rab mujhe itna bata ki meri khata kya hai?
tu kyu itna gham deta hai, maine kiya kya hai?

Dil se kaha jo kaha, saanson se chaha jab bhi maanga
mana nahi kia kisiko, na adhar main jawaab taanga
hasa mann se jab bhi hasa, par tujhe ye sab munasib kyun nahi laga?
mere ilawa kya har koi hai tera saga?

meri ankhon ki sujan kya tujhe hai lubhati?
meri hansi tujhe nahi suhaati?
kitne vish ko amrit samjhkar maine piya
rab phir ye jeewan kis liye diya

truti nahi kabhi kisi ke sammaan main
phir kyun kami mere sammaan main?
pratipal bas maine parishram kiya
par pal-pal tune mujh se mera sukh liya

ponchhe kabhi aansu sabhi ke
shabd unhi ke khaaye hain feeke
shareer-aatma se, mann se, dil se
dua hai phir na milun sabhi se

kabhi ilzaam, jhute bebuniyad lagaye
kabhi jhute sapne puri raat jagaye
gyan ka kabhi adhikaar chheena
kaisa paani ban gaya paseena

apne is dil ka har purza bhi diya tha
ghamon se tune daaman bhara tha
ummeed ka saagar sukha kiya bas
phir bhi rahi kismat meri be-bas

maine na jaana chatori baaten
har par likhi kitni mujhko laaten
dil ko siya tha, jab bhi ye toota
kitna manaya tu phir bhi rootha

teri duniya se jaana hai mujhko
ijazat deni reh gayi hai tujhko
koi na kaandha chaha hai maine
ye bhi janaza, akela de rehne-2

Bechain premi

main kehta hun kuch, wo samajhti hai kuch
mera gussa usko lage pyaar, kaisa ajeeb mera yaar
mere labon pe kuch, uski samajh main kuch
uski ankhon ki masti, chhupi chhupi si ek hasti

jawaab ban rahe hain sawaal, kiya karte the jo bawaal
aaj kareeb hoke bhi do dil kitne door, kitne pas par majboor
haath haath main, par dhyaan aur kahin
ye ajeeb si hai chubhan, bekarari, tadap hai nahin


mera chidhana use lage bachpana, umra ka ye ajeeb sa ladakpan
choodi khankaake paas bulaye, paas na jaana usko rulaaye
bahar dhunte uske naina, nain jharoke dekhe kyun na
sunti murli bhage jaaye, chahe phir na mujhko paaye

ro roke wo dil behlaaye, yaad phir bhi dil se na jaaye
mane na maane na uska mann, tadap bilakta uska tann
akhir hai do alag hi jeewan, toota hai sapno ka darpan
ek darpan tha, jab the wo sang, ab bas hai sab kuchh hi berang...

I am tagging all girls to have them as kind readers. No other intentions. No questions about who she is please :)

Adhurapan

Har din hai jaise ek arsa
Kaajal sa gaadha timir kyun barsa?
Adheron ke kalam se likhi hai kahaani...
Ujaale kar rahe hain kyun be-imani?

Nainon ki vaani, barson purani
Amavas bhi hai chaand ki deewani
Patjhhad ko jaise basant ki pyaas
Roz hota hai ummeed se lekar, gham ka vikaas
Kabhi kali ko chaman ki aasha,
To kabhi siskaariyon ki ankahi bhasha
Sukha sagar bhi chhalak na paye
Wo kahan jaakar kise bataye...

Rangrez bhi rang na paaye
Neem ki paati, nigli na jaaye
panne ko heere ki talash
jald mil jaayr kash..