Sunday, 23 November 2014

le chal

le chal, us jahan main
Le chal, bas wahan pe
Jahan roshni ho, jahan zindagi ho

Main apne har gham ko bhulana chahun
Apne zakhmo ka marham maangu
Har ansu mera, bas rakht bana
Lamha lamha, ya main mara
le chal, us jahan main
Le chal, bas wahan pe
Jahan tuhi ho, jahan khushiyan ho
Jahan roshni ho, jahan zindagi ho

Buri yaadon ko dafnana chahun
Apne har gham ko juda kar paun
Har pal ab tak, tadap ke jiya
Qatra qatra, har zakhm siya
le chal, us jahan main
Le chal, bas wahan pe
Jahan sukun ho, jahan khuda ho
Jahan roshni ho, jahan zindagi ho

No comments:

Post a Comment