Sunday, 23 November 2014

Re Maayi

Kya main sochun
Kya main samjhun
Kya main dekhun
Kya main jaanun
Kyun ye sitam mere dil pe hua hai
Kyun ye dhoka mujh ko mila hai

Re maayi...koi jaane na mann ki peeda
Re maayi...kyun ye dukh mujhko deena

Ishq ki raah pe, tanha chala hun
Ik din khud se, ruswa hua hun
Koi samjhaye is mann ko mere
Kyun nigalte hai, isko andhere
Re maayi...koi jaane na mann ki peeda
Re maayi...kyun ye dukh mujhko deena

"Mandir tera khandit hua tha
Kyun tera sewak dandit hua tha"
Peer is mann se sahi jaaye
Koi to aake ye agan bujhaaye
Re maayi...koi jaane na mann ki peeda
Re maayi...kyun ye dukh mujhko deena

Sewa kar ke, doshon ka mewa
Kaisa insaaf hai, ye mere dewa
Kya thi kami, mere karmo main
Sonpi thi zindagi, tere charon main
Re maayi...koi jaane na mann ki peeda
Re maayi...kyun ye dukh mujhko deena

No comments:

Post a Comment