Un muskaanon main rona sunai deta hai
har lamhe main prabhu tu kya kya leta hai?
gale ke lagne par dard mehsus hota hai
har aadmi jahan main khud ko kyun khota hai?
labon main nami ansuon se bani hai
ghamand se kyun har bhrikuti tani hai?
kano ko bas khushi sunai deti hai
pal pal zindagi itne imthaan kyun leti hai?
dil ko cheetkar, tadap mehsus hoti hai
har kisi ki kyun hasti khoti hai?
pathar se zyada shabdon ki chot dil ko lagti hai
aatma kyun har roz jhuth ki aag main sulaghti hai?
No comments:
Post a Comment