Tuesday, 21 January 2014

Main aur meri manzil

Yun andekhi, anjaani si, sundar si, begaani si
anjaan hun main ab bhi usse, phir bhi jaani pehchaani si,
kuchh khaas hai usme, jo mujhe bulaati hai roz paas,
usko pana hai ab bas, baaki sab lage bakwaas

Wo pavitra, puraani, paavan, pyaari,
Wo dur hai jitna, paas zimmedaari,
prerna ban mujhko roz roz hai chalati,
desh videsh sab or hai mujhe ghumaati,

Kabhi teerth ban, kabhi seva ban, sheetal karti man,
to kabhi ban jaati, asankha, umulya dhan,
kabhi saundarya to kabhi muskaan,
kabhi bas ek meethi si udaan

kabhi zubaan par avismarniya swaad,
to kabhi bade sammaneeyon ka ashirwaad,
ghum hota andhere main dukh aur atyachaar,
badhta, phalta, mehekta, sukhi parivaar

kabhi sehat ka hai wo vardaan,
to kabhi parivaar ki badhti shaan,
kabhi vaibhav-dhanlakshmi ka vikaas,
to kabhi ishwar main bandhta, badhta vishwaas

kabhi hai meera ki saadhna,
to kabhi antarman ki upaasna,
kabhi sparsh koi aatmik,
to kabhi jeewan atyadhik saatwik...

Main aur meri manzil.....

No comments:

Post a Comment