Tuesday, 21 January 2014

Fanaah

Na jaane kya khoya, kya paaya?
har din apne sath kitni ummeeden lekar aaya
umra bhar sath rehkar kuch parayon ne ye sikhaya
ki unka astitva tab tak hi hai, jab tak humara dil dukhaya
bura banakar dujon ki nazar main, apne liye arjit kar liya pyaar
sabit yunhi karte rahe ki humse har rishta hai bekaar
ab baaki hai is jahaan main kaante bepanaah
shayad samay aane wala hai jab honge wo fanaah...


samay badal raha hai, badal rahi hai maaya
badlegi bas ab apmaan ki kaaya
wahi samay dega ashru unhe, jo humare paas tha aaya
jis samay ke saath rehkar maine tha bahut dukh manaaya
ab bahegi unke naino se magarmach nahi ganga ki dhaar
ab niyati hi karegi unpar anhad atyachaar
bahut kar li maine unki parwaah
shayad samay aane wala hai jab honge wo fanaah...

No comments:

Post a Comment