Tuesday, 21 January 2014

Bechkar rakh diye hriday aur praan...

Kis chabutre par, puraskaar se karun samman?
bechkar rakh diye, komal hriday aur praan...
vishwaas tujhme kyun vish ka hai waas?
dost bhi maaliq ban, karte rahe uphaas
kyun deewaaren girai, jhuthi kardi khudai?
khuddari, dosti ne bhi puri bewafai nibhai

Aakhri katre talaq, khushi ko tadpaya
is dil-o-jaan ke mahal ko dahake, tune kya paaya?
malwa aur ret, yaadon ka kahan dafnaun?
unki tarah, moorat sa pathardil kaise banaun?
kandhe par rakhkar hath kiya mujhi par waar,
galti se mana unhe dooja parivar

unki ghutan ki jwala ko maine sambhala
mitana chaha, unki duniya ka andhera wo kaala
Kshadyantrakari padhhti se kiya mujhe pareshan
mita diya sach, swachhta, nirmalta ka har nishaan
kareeb laakar unko, dil tezaab se nahaya
kaanton ki chadar ko gale se lagaya

Pushp ke beej bokar maine, registan ki khaai paayi
naale jaisi mehek dilon main sabne kyun basayi?
bebasi, swarth, ahankaar se charitra ki mahanta unhone rachai
tabaah hokar reh gayi hai ishwar ki banai har sachhai
Ye gunaah mera mujhe kitna tadpayega?
socha nahi tha ye vishwaas kitna daga dilayega

No comments:

Post a Comment