Ae rab mujhe itna bata ki meri khata kya hai?
tu kyu itna gham deta hai, maine kiya kya hai?
Dil se kaha jo kaha, saanson se chaha jab bhi maanga
mana nahi kia kisiko, na adhar main jawaab taanga
hasa mann se jab bhi hasa, par tujhe ye sab munasib kyun nahi laga?
mere ilawa kya har koi hai tera saga?
meri ankhon ki sujan kya tujhe hai lubhati?
meri hansi tujhe nahi suhaati?
kitne vish ko amrit samjhkar maine piya
rab phir ye jeewan kis liye diya
truti nahi kabhi kisi ke sammaan main
phir kyun kami mere sammaan main?
pratipal bas maine parishram kiya
par pal-pal tune mujh se mera sukh liya
ponchhe kabhi aansu sabhi ke
shabd unhi ke khaaye hain feeke
shareer-aatma se, mann se, dil se
dua hai phir na milun sabhi se
kabhi ilzaam, jhute bebuniyad lagaye
kabhi jhute sapne puri raat jagaye
gyan ka kabhi adhikaar chheena
kaisa paani ban gaya paseena
apne is dil ka har purza bhi diya tha
ghamon se tune daaman bhara tha
ummeed ka saagar sukha kiya bas
phir bhi rahi kismat meri be-bas
maine na jaana chatori baaten
har par likhi kitni mujhko laaten
dil ko siya tha, jab bhi ye toota
kitna manaya tu phir bhi rootha
teri duniya se jaana hai mujhko
ijazat deni reh gayi hai tujhko
koi na kaandha chaha hai maine
ye bhi janaza, akela de rehne-2
No comments:
Post a Comment