Tuesday, 21 January 2014

Dukh

Ghamon se hi kyun likhi jaa rahi hai meri ye kahaani..
kyun dil ko sata rahi hai koi na koi pareshani

ankhon ka sagar sukhta kyun nahi...
sukh usme kahin dubta kyun nahi

kho chuki kyun hai meri wo muskaan,
kab bharunga main ek unchi udaan

nahi sahi jaati manzil se ye doorie
bata na khuda kya hai teri majboori

kaisa aalam hai kaisi hai ye tanhayee
khushiyon ne kyun ki hai bewafai

kahan hai wo muskan wo khushi wo hansi,
kahan atak kar khilkhilahat hai fansi

pal pal khud se uthta vishwaas
bujh rahi hai jeene ki pyaas

cheel kauwwon sa har pal cheer raha mera maans
kab akhir band hogi ye meri saans

 koi nahi is jahaan main mera na koi dagar hai
shareer main baaki saansen magar hain

is sab pe bhi ek ummeed ki lehar hai
shayad baaki mujhpar koi mehar hai

No comments:

Post a Comment