Tuesday, 21 January 2014

Samay

Samay na jaane kitne aansu de jaata hai
kabhi hansi to kabhi dard ka daata hai
kabhi dusre ka gham ise lubhataata hai
to kabhi ye seene main irsha ki suiyaan chubhata hai

sulaghti hai ichha koi kabhi
banke behti hai ankhon se nadi tabhi
deta hai dhundhli khwahish koi
khilti kali murjhane se pehle roi

kabhi shor main bhi sannata lagta hai
to kabhi sannaate main shor jhalakta hai
kabhi koi geet jo mithaas pahunchata hai
wahi is dil ko bahut rulata hai

kabhi kuch dekar dhani banata hai
to kabhi chheen kar gaali sunata hai
kabhi hai shaq to kabhi ilzaam
samay main gade hain na jaane kitne naam

kabhi sikhata hai sachhi muskaan
to kabhi nasht karta hai unchi udaan
kabhi bikharta, kabhi sawarta aashiyaan
kabhi zindagiyon ko bana deta baaziyan...

No comments:

Post a Comment